Loading!

07 Mujh Pe Reham Kar

Our website address is: https://sohmusicrecords.in

Mujhpe reham kar aye khuda (2)

Hai meri jaan ko teri panaah (2)

Mujhpe reham…

Main tere paron ke saaye mein loonga panah

Jab tak na tal jaye hare ek aafat Khuda

Ghera hai mujhko mere dushmanon ne yahan

Woh meri khatir falak se madad bhejega

Tera jalaal saari zameen par ho

Tu jaanta hai Khuda mere hun mein kahan

Aatish mijaaz aur sheron ke hoon darmiyan

Talwar jaisi zubaan daant hain barchiyan

Tu apni rehmat aur sachaai kar de bayaan

Tera jalaal sari zameen par ho

Dil ab hai tera tere geet main gaaonga

Ab saari duniya ko yeh baat batlaoonga

Taarif teri karta rahoon main sadaa

Rehamat aur sachaai teri buland aye khuda

Tera jalaal saari zameen par ho

Next Up Clear ×

Your queue is empty, Click the play button on an album, song, or playlist to add it to your queue

SOH Music Records SOH Music Records : / :